शनिवार, 27 अगस्त 2011

एक एक दिन को पकड़ लो |

एक एक दिन को पकड़ लो
बाहों में जकड लो
मुठी में बालू सा
फिसल फिसल जाता है
वक़्त गया वापिस ना आता है |

रोज सुबह जीते हैं
रात को मर जाते हैं
दिन के दावानल को
मेहनत के मेघ
भिगो जाते हैं
रात के सन्नाटे में
कोलाहल सपनों के
हम को जगा जाते हैं |

रोज नई आशाएँ
रोज नई चिंताएँ
गिर के संभल जाते हैं
फिर से फिसल  जाते हैं |

सुंदर से सुन्दर भी
शख़्श बदल जाते हैं
अक्श बदल जाते हैं,
पतझड़ की कौन कहे
सावन के मेघ कभी
जीवन की बगिया पे
बिजली गिरा जाते हैं
अगन लगा जाते हैं |

बचपन कब हुआ युवा
बूढ़ा हो जाता है
अर्थी बन भट्टी में
भस्म हुआ जाता है
जब तक
ये अंतर्मन जागता है
वक़्त निकल जाता है |


हर पल के
स्पंदन को छू लो
अगले पल
दिल की ये धड़कन
हो भी या ना भी हो
इस चिंता को भूलो
आशाओं के झूले में झूलो
उँची से उँची
तुम उँचाई को छू लो |

राजीव जायसवाल
THIS POEM IS PRESENTED BELOW IN ROMAN SCRIPT----
EK EK DIN KO PAKAD LO
BAHON MEIN JAKAD LO
MUTHHI MEIN BALU SA
FISAL FISAL JATA HAI
WAQT GAYA VAPIS NA ATA HAI.

ROJ SUBHA JITE HAIN
RAAT KO MAR JATE HAIN
DIN KE DAWANAL KO
MEHNAT KE MEGH
BHIGO JATE HAIN
RAAT KE SANNATE MEIN
KOLAHAL SAPNON KE
HUM KO JAGA JATE HAIN.

ROJ NAI ASHAIEN
ROJ NAI CHINTAEIN
GIR KE SAMBHAL JATE HAIN
PHIR SE PHISAL JATE HAIN.

SUDER SE SUNDER BHI
SAKSH BADAL JATE HAIN
AKSH BADAL JATE HAIN
PATJHAD KI KAUN KAHE
SAWAN KE MEGH KABHI
JIWAN KI BAGIYA PAR
BIJLI GIRA JATE HAIN
AGAN LAGA JATE HAIN.

BACHPAN KAB HUA YUVA
BUDHA HO JATA HAI
ARTHI BAN BHATTI MEIN
BHASM HUA JATA HAI
JAB TAK YE ANTARMAN JAGTA HAI
WAQT NIKAL JATA HAI.

HAR PAL KE SPANDAN KO CHU LO
AGLE PAL DIL KI YE DHADKAN
HO BHI YA NA BHI HO
IS CHINTA KO BHULO
ASHAON KE JHULE MEIN JHULO
UNCHI SE UNCHI
TUM UNCHAI KO CHU LO.
RAJIV JAYASWAL

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें